Shayari
lakirein khinch ke miTTi pe baiTh jaataa huun
yahaan makaan thaa ye baazaar ye gali us ki
ek tasvir huun gham ki jis par
muskuraane kaa gumaan hotaa hai
ایک تصویر ہوں غم کی جس پر
مسکرانے کا گماں ہوتا ہے
एक तस्वीर हूँ ग़म की जिस पर
मुस्कुराने का गुमाँ होता है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
uThaa uThaa ke tire naaz ai gham-e-duniyaa
khud aap hi tiri aadat kharaab ki ham ne
har aadmi vahaan masruf qahqahon mein thaa
ye aansuon ki kahaani kise sunaate ham
mujh se kahte nahin bantaa ki sitam kam kiije
phir na aisaa ho kisi roz miraa gham kiije