Shayari
sarsari 'mir' kaa divaan nahin khultaa hai
mukhtasar khulne mein insaan nahin khultaa hai
gharon se nikle hue vaqt par palaT aaein
koi charaagh kisi baam par udaas na ho
گھروں سے نکلے ہوئے وقت پر پلٹ آئیں
کوئی چراغ کسی بام پر اداس نہ ہو
घरों से निकले हुए वक़्त पर पलट आएँ
कोई चराग़ किसी बाम पर उदास न हो

sarsari 'mir' kaa divaan nahin khultaa hai
mukhtasar khulne mein insaan nahin khultaa hai
yahaan pe aah-o-fughaan dard-o-gham kaa naam nahin
miraa kalaam hai ye 'mir' kaa kalaam nahin
qubul kar ke ise raabta bahaal karo
kahin ye phuul miri aakhiri pukaar na ho
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
na aayaa gham bhi mohabbat mein saazgaar mujhe
vo khud taDap gae dekhaa jo be-qaraar mujhe
main ab tere sivaa kis ko pukaarun
muqaddar so gayaa gham jaagtaa hai
rahe hain chaand-raaton mein bhi tanhaa
hamein khuddaariyaan mahngi paDi hain