Shayari
main tumhaare baghair aisaa huun
jis tarah diin hai nabi ke baghair
main roz kahin kho ke lagaataa huun sadaaein
main roz mujhe DhunD ke laataa huun kahin se
میں روز کہیں کھو کے لگاتا ہوں صدائیں
میں روز مجھے ڈھونڈ کے لاتا ہوں کہیں سے
मैं रोज़ कहीं खो के लगाता हूँ सदाएँ
मैं रोज़ मुझे ढूँढ़ के लाता हूँ कहीं से

main tumhaare baghair aisaa huun
jis tarah diin hai nabi ke baghair
tu khudaa se bhi duur hai laDki
aur dil kaaein kaaein kar rahaa hai
ye kaise log tire aas-paas ghumte hain
inhein to dekh ke meraa dimaagh ghumtaa hai
udaas logon ke maathon ko chumte rahnaa
unhi ki vajh se bar-'aks ho gae tum log
hamein bannaa paDegaa alien varna mire pyaare
tujhe bhi khaaegaa aadam mujhe bhi khaaegaa aadam
mujhe malaal nahin teri bevafaai kaa
main apne aap se aankhein nahin milaa saktaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
kis ki aaankhon se giraa hai ye
ye samundar hai baDaa saa aansu
agar ho tum 'haajara' to phir mujh se mil ke 'masrur' kyuun nahin ho
tumhaare aage 'opendr-naath-ashk' ban ke aansu bahaa rahaa huun