Shayari
vo mere khvaab le ke sirhaane khaDaa rahaa
main so rahi thi us ne jagaayaa nahin mujhe
baaz chehre bahut hasin sahi
phir bhi kitnon se dosti ki jaae
بعض چہرے بہت حسین سہی
پھر بھی کتنوں سے دوستی کی جائے
बाज़ चेहरे बहुत हसीन सही
फिर भी कितनों से दोस्ती की जाए

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
jab chaahaa iqraar kiyaa hai jab chaahaa inkaar kiyaa
dekho ham ne khud hi se ye kaisaa anokhaa pyaar kiyaa
ilaahi tu bhi pyaaraa but bhi pyaaraa phir sunun kis ki
idhar kuchh shaikh kahtaa hai aur us jaanib barahman bhi
hindostaan mein dhuum hai kis ki zabaan ki
vo kaun hai 'riyaaz' ko jo jaantaa nahin
suntaa rahtaa huun to vo kuchh bhi kahe jaataa hai
us ko lagtaa hai ki me'yaar yahi hai apnaa
mujhe rahnaa thaa tiri aankh mein aansu ki tarah
main to naakaam huun ai dost sitaara ban kar