Shayari
qaid kartaa huun hasratein dil mein
phir inhein khud-kushi sikhaataa huun
suntaa rahtaa huun to vo kuchh bhi kahe jaataa hai
us ko lagtaa hai ki me'yaar yahi hai apnaa
سنتا رہتا ہوں تو وہ کچھ بھی کہے جاتا ہے
اس کو لگتا ہے کہ معیار یہی ہے اپنا
सुनता रहता हूँ तो वो कुछ भी कहे जाता है
उस को लगता है कि मे'यार यही है अपना

qaid kartaa huun hasratein dil mein
phir inhein khud-kushi sikhaataa huun
tujh ko ho mere lams ki khvaahish shadid-tar
tujh se tamaam 'umr miraa saamnaa na ho
havas na puuri hui jab kahin to 'ilm huaa
tire badan kaa rahaa mujh ko aasraa baDi der
ab vo achchhaa mujhe pasand nahin
jo buraa bhi qubul hotaa thaa
mire khamir pe saari hi sarf ho gai thi
phir us ke baa'd udaasi nai banaai gai
khushbuon kaa nuzul hotaa thaa
pahle pattaa bhi phuul hotaa thaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi