Shayari
sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
main inhimaak mein ye kis maqaam tak pahunchaa
tujhe hi bhuul gayaa tujh ko yaad karte hue
میں انہماک میں یہ کس مقام تک پہنچا
تجھے ہی بھول گیا تجھ کو یاد کرتے ہوئے
मैं इंहिमाक में ये किस मक़ाम तक पहुँचा
तुझे ही भूल गया तुझ को याद करते हुए

sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
log kahte hain ki vo shakhs hai khushbu jaisaa
saath shaayad use le aae havaa dekhte hain
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
tu mire paas jab nahin hotaa
tujh se kartaa huun kis qadar baatein
miri zabaan ke mausam badalte rahte hain
main aadmi huun miraa e'tibaar mat karnaa
kahin kahin to zamin aasmaan se unchi hai
ye raaz mujh pe khulaa siDhiyaan utarte hue
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
tum apne Thor-Thikaanon ko yaad rakkho 'saaz'
hamaaraa kyaa hai ki ham to kahin bhi rahte hain