Shayari
nahin vo itnaa bhi paagal nahin thaa
jo mar jaataa miri vaabastagi mein
ham ne jab haal-e-dil un se apnaa kahaa
vo bhi qissa kisi kaa sunaane lage
ہم نے جب حال دل ان سے اپنا کہا
وہ بھی قصہ کسی کا سنانے لگے
हम ने जब हाल-ए-दिल उन से अपना कहा
वो भी क़िस्सा किसी का सुनाने लगे

nahin vo itnaa bhi paagal nahin thaa
jo mar jaataa miri vaabastagi mein
mire vajud ke andar hai ik qadim makaan
jahaan se main ye udaasi udhaar leti huun
khvaab kaa intizaar khatm huaa
aankh ko niind se jagaate hain
shahzaadi ke kaanon mein jo baat kahi thi ik tu ne
baad tire vo baat tire hi afsaanon mein gunjti hai
Dubne ki na tairne ki khabar
ishq-dariyaa mein bas utar dekhun
khushbu jaisi raat ne meraa
apne jaisaa haal kiyaa thaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
aa mere saath baiTh mire saath chaae pi
aa mere saath mere dalaail pe baat kar