Shayari
kyaa kyaa na pyaas jaage mire dil ke dasht mein
hasrat bhi ek aag hai laage jo raat bhar
ishq to apne lahu mein hi sanvartaa hai so ham
kis liye rukh pe koi ghaaza lagaa kar dekhein
عشق تو اپنے لہو میں ہی سنورتا ہے سو ہم
کس لیے رخ پہ کوئی غازہ لگا کر دیکھیں
इश्क़ तो अपने लहू में ही सँवरता है सो हम
किस लिए रुख़ पे कोई ग़ाज़ा लगा कर देखें

kyaa kyaa na pyaas jaage mire dil ke dasht mein
hasrat bhi ek aag hai laage jo raat bhar
vo ik sukhan hi hamaari sanad na ban jaae
vo ik sukhan jo tumhaari sanad nahin rakhtaa
chaahiye kyaa tumhein tohfe mein bataa do varna
ham to baazaar ke baazaar uThaa laaeinge
haan tujhe bhi to mayassar nahin tujh saa koi
hai tiraa arsh bhi viraan mire pahlu ki tarah
tufaan-e-bahr khaak Daraataa mujhe 'turaab'
us se baDaa bhanvar to safine ke biich thaa
yuun mohabbat se na ham khaana-ba-doshon ko bulaa
itne saada hain ki ghar-baar uThaa laaeinge
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
husn hai zaat miri ishq sifat hai meri
huun to main shama magar bhes hai parvaane kaa
is hirs-o-havas ke mele mein ham jins-e-mohabbat laae hain
sab saste maal ke gaahak hain ye mahngaa saudaa kaun kare
nafrat ke khazaane mein to kuchh bhi nahin baaqi
thoDaa saa guzaare ke liye pyaar bachaaein
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht