Shayari
jin ki ungli thaam ke chalnaa sikhaa thaa
haae ab un ko buDhaa hote dekhnaa hai
tumhaare hijr mein jab bhi calendar par nigaah Daali
sitambar ke mahine ko sitamgar hi paDhaa main ne
تمہارے ہجر میں جب بھی کلنڈر پر نگاہ ڈالی
ستمبر کے مہینے کو ستم گر ہی پڑھا میں نے
तुम्हारे हिज्र में जब भी कैलेंडर पर निगाह डाली
सितंबर के महीने को सितमगर ही पढ़ा मैं ने

jin ki ungli thaam ke chalnaa sikhaa thaa
haae ab un ko buDhaa hote dekhnaa hai
koi kashti kahin maghrur ho jaae na paani mein
sukut-e-bahr ko qasdan talaatum honaa paDtaa hai
agli naslein kar sakein tafriq-e-duniyaa-o-iram
maaon ke qisson mein bhi shaddaad honaa chaahiye
puchhne vaalon ne puchhaa haath kaise jal gayaa
kaise batlaaein kisi ke dil pe rakkhaa thaa kabhi
hamaare sar pe pech-o-kham kaa ye saafa viraasat hai
ki tum pagDi samajhte ho jise ham taaj kahte hain
na ranj-e-hijrat thaa aur na shauq-e-safar thaa dil mein
sab apne apne gunaah kaa bojh Dho rahe the
miri zindagi to guzri tire hijr ke sahaare
miri maut ko bhi pyaare koi chaahiye bahaana
aaj na jaane raaz ye kyaa hai
hijr ki raat aur itni raushan
ham musaafir hain gard-e-safar hain magar ai shab-e-hijr ham koi bachche nahin
jo abhi aansuon mein nahaa kar gae aur abhi muskuraate palaT aaeinge
ishq par faaez huun auron ki tarah lekin mujhe
vasl kaa lapkaa nahin hai hijr se vahshat nahin
hijr ke tapte mausam mein bhi dil un se vaabasta hai
ab tak yaad kaa pattaa pattaa Daali se paivasta hai