Shayari
jin ki ungli thaam ke chalnaa sikhaa thaa
haae ab un ko buDhaa hote dekhnaa hai
hamaare sar pe pech-o-kham kaa ye saafa viraasat hai
ki tum pagDi samajhte ho jise ham taaj kahte hain
ہمارے سر پہ پیچ و خم کا یہ صافہ وراثت ہے
کہ تم پگڑی سمجھتے ہو جسے ہم تاج کہتے ہیں
हमारे सर पे पेच-ओ-ख़म का ये साफ़ा विरासत है
कि तुम पगड़ी समझते हो जिसे हम ताज कहते हैं

jin ki ungli thaam ke chalnaa sikhaa thaa
haae ab un ko buDhaa hote dekhnaa hai
koi kashti kahin maghrur ho jaae na paani mein
sukut-e-bahr ko qasdan talaatum honaa paDtaa hai
agli naslein kar sakein tafriq-e-duniyaa-o-iram
maaon ke qisson mein bhi shaddaad honaa chaahiye
tumhaare hijr mein jab bhi calendar par nigaah Daali
sitambar ke mahine ko sitamgar hi paDhaa main ne
puchhne vaalon ne puchhaa haath kaise jal gayaa
kaise batlaaein kisi ke dil pe rakkhaa thaa kabhi
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad