Shayari
'athar' tum ne ishq kiyaa kuchh tum bhi kaho kyaa haal huaa
koi nayaa ehsaas milaa yaa sab jaisaa ahvaal huaa
bahut chhoTe hain mujh se mere dushman
jo meraa dost hai mujh se baDaa hai
بہت چھوٹے ہیں مجھ سے میرے دشمن
جو میرا دوست ہے مجھ سے بڑا ہے
बहुत छोटे हैं मुझ से मेरे दुश्मन
जो मेरा दोस्त है मुझ से बड़ा है

'athar' tum ne ishq kiyaa kuchh tum bhi kaho kyaa haal huaa
koi nayaa ehsaas milaa yaa sab jaisaa ahvaal huaa
baa-vafaa thaa to mujhe puchhne vaale bhi na the
be-vafaa huun to huaa naam bhi ghar ghar meraa
sochte aur jaagte saanson kaa ik dariyaa huun main
apne gum-gashta kinaaron ke liye bahtaa huun main
ik shakl hamein phir bhaai hai ik surat dil mein samaai hai
ham aaj bahut sarshaar sahi par aglaa moD judaai hai
darvaaza khulaa hai ki koi lauT na jaae
aur us ke liye jo kabhi aayaa na gayaa ho
vo ishq jo ham se ruuTh gayaa ab us kaa haal bataaein kyaa
koi mehr nahin koi qahr nahin phir sachchaa sher sunaaein kyaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ik jang thi vo garmi-e-guftaar nahin thi
donon ki anaa miTne ko tayyaar nahin thi
apni urdu to mohabbat ki zabaan thi pyaare
uff siyaasat ne use joD diyaa mazhab se
miraa zamir bahut hai mujhe sazaa ke liye
tu dost hai to nasihat na kar khudaa ke liye
chhin lenaa yaa-khudaa mujh se mire lauh-o-qalam
gar zavaal aae mire ashaar ke meaar mein
na puchh kaise guzarti hai zindagi ai dost
baDi tavil kahaani hai phir kabhi ai dost