Shayari
is liye main ne muhaafiz nahin rakkhe apne
mire dushman mire is jism se baahar kam hain
hamein roko nahin ham ne bahut se kaam karne hain
kisi gul mein mahaknaa hai kisi baadal mein rahnaa hai
ہمیں روکو نہیں ہم نے بہت سے کام کرنے ہیں
کسی گل میں مہکنا ہے کسی بادل میں رہنا ہے
हमें रोको नहीं हम ने बहुत से काम करने हैं
किसी गुल में महकना है किसी बादल में रहना है

is liye main ne muhaafiz nahin rakkhe apne
mire dushman mire is jism se baahar kam hain
ai shahr-e-sitam chhoD ke jaate hue logo
ab raah mein koi bhi madina nahin aataa
usi ne sab se pahle haar maani
vahi sab se dilaavar lag rahaa thaa
der lagti hai bahut lauT ke aate aate
aur vo itne mein hamein bhuul chukaa hotaa hai
ham ne ghar ki salaamti ke liye
khud ko ghar se nikaal rakkhaa hai
hamaare naam ki takhti bhi un pe lag na saki
lahu mein gundh ke miTTi jo ghar banaae gae
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
office ki faailon mein tiri zulf kaa khayaal
dil apne kaam se hai dimaagh apne kaam se
dalil di gai kahin nizaam se kiyaa gayaa
hamaaraa faisla hamaare naam se kiyaa gayaa
guftugu ke khatm ho jaane par aayaa ye khayaal
jo zabaan tak aa nahin paayaa vahi to dil mein thaa
dil kaa lahu nigaah se Tapkaa hai baar-haa
ham raah-e-gham mein aisi bhi manzil se aae hain