Shayari
un ke khemon mein hain sab log kamar-basta magar
ham mein ghaflat ki hai bhar-maar khudaa khair kare
husn ki devi bani baiThi hain dil hai but-kada
chand muslim laDkiyon ne ham ko hindu kar diyaa
حسن کی دیوی بنی بیٹھی ہیں دل ہے بت کدہ
چند مسلم لڑکیوں نے ہم کو ہندو کر دیا
हुस्न की देवी बनी बैठी हैं दिल है बुत-कदा
चंद मुस्लिम लड़कियों ने हम को हिन्दू कर दिया

un ke khemon mein hain sab log kamar-basta magar
ham mein ghaflat ki hai bhar-maar khudaa khair kare
jab kamsin se ishq laDaanaa paDtaa hai
bachchon jaisaa paaTh paDhaanaa paDtaa hai
ik ghazal to mire haathon se misaali ho jaae
kaash ki tu miraa mahbub-e-khayaali ho jaae
tum chitaa in ki jalaao na karo dafn inhein
pyaar ke khat hain ye hindu yaa musalmaan nahin
har vaqt kase rahte hain maaon ki piiTh se
godi mein nahin khelte mazdur ke bachche
tum ne dekhaa nahin hogaa kabhi aisaa qaatil
jo lahu chusne kaa jashn manaane nikle
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ki haalat se khabar deti hai
'asar' aashufta-bayaani meri
surat chhupaaiye kisi surat-parast se
ham dil mein naqsh aap ki tasvir kar chuke
vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
dil ko har lamha bachaate rahe jazbaat se ham
itne majbur rahe hain kabhi haalaat se ham