Shayari
vo ye kah kar daagh dete hain mujhe
phuul se pahle samar aate nahin
gin rahaa huun harf un ke ahd ke
mujh ko dhokaa de rahi hai yaad kyaa
گن رہا ہوں حرف ان کے عہد کے
مجھ کو دھوکا دے رہی ہے یاد کیا
गिन रहा हूँ हर्फ़ उन के अहद के
मुझ को धोका दे रही है याद क्या

vo ye kah kar daagh dete hain mujhe
phuul se pahle samar aate nahin
mushkil hai imtiyaaz-e-azaab-o-savaab mein
piitaa huun main sharaab milaa kar gulaab mein
koi rusvaa koi saudaai hai
ik jahaan aap kaa shaidaai hai
zor qismat pe chal nahin saktaa
khaamushi ikhtiyaar kartaa huun
us ne sun kar baat meri Taal di
uljhanon mein aur uljhan Daal di
ayaan yaa nihaan ik nazar dekh lete
kisi surat un ko magar dekh lete
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
masal sach hai bashar ki qadar neamat baa'd hoti hai
sunaa hai aaj tak ham ko bahut vo yaad karte hain
bayaabaan-e-junun mein shaam-e-ghurbat jab sataayaa ki
mujhe rah rah kar ai subh-e-vatan tu yaad aayaa ki
ek saaghar bhi inaayat na huaa yaad rahe
saaqiyaa jaate hain mahfil tiri aabaad rahe
tujhe khabar hai ki ibtidaa bhi hai intihaa bhi
jahaan-e-maani mein darmiyaan ko bhi yaad rakhnaa