Shayari
ab ki jo raah-e-mohabbat mein uThaai taklif
sakht hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi
jaa kahiyo meraa nasim-e-sahar
miraa chain gayaa miri niind gai
جا کہیو میرا نسیم سحر
مرا چین گیا مری نیند گئی
जा कहियो मेरा नसीम-ए-सहर
मिरा चैन गया मिरी नींद गई

ab ki jo raah-e-mohabbat mein uThaai taklif
sakht hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi
kitnaa hai bad-nasib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamin bhi na mili ku-e-yaar mein
dekh dil ko mire o kaafir-e-be-pir na toD
ghar hai allaah kaa ye is ki to taamir na toD
kyaa taab kyaa majaal hamaari ki bosa lein
lab ko tumhaare lab se milaa kar kahe baghair
khvaab meraa hai ain bedaari
main to us mein bhi dekhtaa kuchh huun
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likkhi thi fasl-e-bahaar mein
raat ko aa kar jo tum milte to haan ik baat thi
subh ko surat dikhaane aaftaab aayaa to kyaa
subh aataa huun yahaan aur shaam ho jaane ke baad
lauT jaataa huun main ghar naakaam ho jaane ke baad
laakh aaftaab paas se ho kar guzar gae
ham baiThe intizaar-e-sahar dekhte rahe
har ek raat kahin duur bhaag jaataa huun
har ek subh koi mujh ko khinch laataa hai
ye dil hai miraa yaa kisi kuTiyaa kaa diyaa hai
bujhtaa hai dam-e-subh to jaltaa hai sar-e-shaam
das moharram ki faaqa-shikan asr kaa sar jhukaae hue baiTh kar sochnaa
chand phulon mein lipTi hui fajr thi kuchh charaaghon ki nauhagari raat hai