Shayari
kal tak jo shaffaaf the chehre aavaazon se khaali the
aaDi-tirchhi surkh lakirein un par bhi ab dekhoge
har ek raat kahin duur bhaag jaataa huun
har ek subh koi mujh ko khinch laataa hai
ہر ایک رات کہیں دور بھاگ جاتا ہوں
ہر ایک صبح کوئی مجھ کو کھینچ لاتا ہے
हर एक रात कहीं दूर भाग जाता हूँ
हर एक सुब्ह कोई मुझ को खींच लाता है

kal tak jo shaffaaf the chehre aavaazon se khaali the
aaDi-tirchhi surkh lakirein un par bhi ab dekhoge
hamaare haath se vo bhi nikal gayaa aakhir
ki jis khayaal mein ham muddaton se khoe the
rafta rafta aankhon ko hairaani de kar jaaegaa
khvaabon kaa ye shauq hamein viraani de kar jaaegaa
daftar mein zehn ghar pe nigah raaste mein paanv
jiine ki kaavishon mein badan haath se gayaa
na jaane kis tarah bistar mein ghus kar baiTh jaati hain
vo aavaazein jinhein ham roz baahar chhoD aate hain
bach ke duniyaa se ghar chale aae
ghar se bachne magar kidhar jaaein
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain