Shayari
muskuraane kaa fan to baa'd kaa hai
pahle saaat kaa intikhaab karo
kashish tujh si na thi tere ghamon mein
lab-o-lahja magar haan hu-ba-hu thaa
کشش تجھ سی نہ تھی تیرے غموں میں
لب و لہجہ مگر ہاں ہو بہ ہو تھا
कशिश तुझ सी न थी तेरे ग़मों में
लब-ओ-लहजा मगर हाँ हू-ब-हू था

muskuraane kaa fan to baa'd kaa hai
pahle saaat kaa intikhaab karo
aaine mein hai phir vahi surat
yuun hi hoti hai tarjumaani kyaa
vahi aansu vahi maazi ke qisse
jise dekho kaTe ko kaaTtaa hai
havas shaamil hai thoDi si duaa mein
abhi is lau mein halkaa saa dhuaan hai
shaam utri hai phir ahaate mein
jism par raushni ke ghaav liye
samundar hai koi aankhon mein shaayad
kinaaron par chamakte hain guhar se
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil jo ummid-vaar hotaa hai
tir-e-gham kaa shikaar hotaa hai
ahvaal kyaa bayaan main karun haae ai tabib
hai dard us jagah ki jahaan kaa nahin ilaaj
gham mujhe naa-tavaan rakhtaa hai
ishq bhi ik nishaan rakhtaa hai