Shayari
zindagi se zindagi ruThi rahi
aadmi se aadmi barham rahaa
B
Baqa Baluchtu khush hai apni duniyaa mein
main tiri yaad mein jaltaa huun
تو خوش ہے اپنی دنیا میں
میں تری یاد میں جلتا ہوں
तू ख़ुश है अपनी दुनिया में
मैं तिरी याद में जलता हूँ
zindagi se zindagi ruThi rahi
aadmi se aadmi barham rahaa
garmi-e-shiddat-e-jazbaat bataa detaa hai
dil to bhuli hui har baat bataa detaa hai
jism apne faani hain jaan apni faani hai faani hai ye duniyaa bhi
phir bhi faani duniyaa mein jaavedaan to main bhi huun jaavedaan to tum bhi ho
ek uljhan raat din palti rahi dil mein ki ham
kis nagar ki khaak the kis dasht mein Thahre rahe
main kinaare pe khaDaa huun to koi baat nahin
bahtaa rahtaa hai tiri yaad kaa dariyaa mujh mein
kaisaa lamha aan paDaa hai
hanstaa ghar viraan paDaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
main ziyaada huun bahut us ke liye ab tak bhi
aur mere liye vo saare kaa saaraa kam hai