Shayari
zindagi se zindagi ruThi rahi
aadmi se aadmi barham rahaa
B
Baqa Baluchmain kinaare pe khaDaa huun to koi baat nahin
bahtaa rahtaa hai tiri yaad kaa dariyaa mujh mein
میں کنارے پہ کھڑا ہوں تو کوئی بات نہیں
بہتا رہتا ہے تری یاد کا دریا مجھ میں
मैं किनारे पे खड़ा हूँ तो कोई बात नहीं
बहता रहता है तिरी याद का दरिया मुझ में
zindagi se zindagi ruThi rahi
aadmi se aadmi barham rahaa
garmi-e-shiddat-e-jazbaat bataa detaa hai
dil to bhuli hui har baat bataa detaa hai
jism apne faani hain jaan apni faani hai faani hai ye duniyaa bhi
phir bhi faani duniyaa mein jaavedaan to main bhi huun jaavedaan to tum bhi ho
ek uljhan raat din palti rahi dil mein ki ham
kis nagar ki khaak the kis dasht mein Thahre rahe
tu khush hai apni duniyaa mein
main tiri yaad mein jaltaa huun
kaisaa lamha aan paDaa hai
hanstaa ghar viraan paDaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
bhuul jaane kaa mujhe mashvara dene vaale
yaad khud ko bhi na main aauun kuchh aisaa kar de
aap ne din banaa diyaa thaa jise
zindagi bhar vo raat yaad aai
na itnaa zulm kar ai chaandni bahr-e-khudaa chhup jaa
tujhe dekhe se yaad aataa hai mujh ko maahtaab apnaa
guzre hue zamaane ko yaad na kar kabhi 'khumaar'
aur jo yaad aa hi jaae ashk bahaa ke bhuul jaa