Shayari
zindagi se zindagi ruThi rahi
aadmi se aadmi barham rahaa
B
Baqa Baluchgarmi-e-shiddat-e-jazbaat bataa detaa hai
dil to bhuli hui har baat bataa detaa hai
گرمیٔ شدت جذبات بتا دیتا ہے
دل تو بھولی ہوئی ہر بات بتا دیتا ہے
गर्मी-ए-शिद्दत-ए-जज़्बात बता देता है
दिल तो भूली हुई हर बात बता देता है
zindagi se zindagi ruThi rahi
aadmi se aadmi barham rahaa
jism apne faani hain jaan apni faani hai faani hai ye duniyaa bhi
phir bhi faani duniyaa mein jaavedaan to main bhi huun jaavedaan to tum bhi ho
ek uljhan raat din palti rahi dil mein ki ham
kis nagar ki khaak the kis dasht mein Thahre rahe
main kinaare pe khaDaa huun to koi baat nahin
bahtaa rahtaa hai tiri yaad kaa dariyaa mujh mein
tu khush hai apni duniyaa mein
main tiri yaad mein jaltaa huun
kaisaa lamha aan paDaa hai
hanstaa ghar viraan paDaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil kaun hai ki us se kahein raaz-e-ishq ham
tere khayaal se bhi na ham guftugu karein
mere milne se jo yuun haath uThaa-baiThaa tu
nahin maalum ki dil mein tire kyaa baiTh gayaa
aap dekhein to mire dil mein bhi kyaa kyaa kuchh hai
ye bhi ghar aap kaa hai kyuun na phir aabaad rahe