Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
dil ki basti puraani dilli hai
jo bhi guzraa hai us ne luuTaa hai
دل کی بستی پرانی دلی ہے
جو بھی گزرا ہے اس نے لوٹا ہے
दिल की बस्ती पुरानी दिल्ली है
जो भी गुज़रा है उस ने लूटा है

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
masjid mandir ke jhagDe to hote miTte rahte hain
dafn hain jis mein dil ke rishte us malbe ki baat karein
khulus-e-dil se sajda ho to us sajde kaa kyaa kahnaa
vahin kaaba sarak aayaa jabin ham ne jahaan rakh di
bayaan qissa-e-bechaargi kiyaa jaae
jo dil ki rah gai dil mein use kahaa jaae
ai shauq pataa kuchh tu hi bataa ab tak ye karishma kuchh na khulaa
ham mein hai dil-e-betaab nihaan yaa aap dil-e-betaab hain ham