Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
haath mein chaand jahaan aayaa muqaddar chamkaa
sab badal jaaegaa qismat kaa likhaa jaam uThaa
ہاتھ میں چاند جہاں آیا مقدر چمکا
سب بدل جائے گا قسمت کا لکھا جام اٹھا
हाथ में चाँद जहाँ आया मुक़द्दर चमका
सब बदल जाएगा क़िस्मत का लिखा जाम उठा

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
gunaahgaaron aur aasiyon ko azaab-e-dozakh se vaaizo tum
Daraao be-shak magar na itnaa ki dil dahal jaae aadmi kaa
hikaayat-e-ishq se bhi dil kaa ilaaj mumkin nahin ki ab bhi
firaaq ki talkhiyaan vahi hain visaal ki aarzu vahi hai
ji mein aataa hai ki duniyaa ko badalnaa chaahiye
aur apne aap se maayus ho jaataa huun main
shabaab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai
ye aazmaaish-e-qalb-o-nazar ki manzil hai