Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
mahlon mein ham ne kitne sitaare sajaa diye
lekin zamin se chaand bahut duur ho gayaa
محلوں میں ہم نے کتنے ستارے سجا دیئے
لیکن زمیں سے چاند بہت دور ہو گیا
महलों में हम ने कितने सितारे सजा दिए
लेकिन ज़मीं से चाँद बहुत दूर हो गया

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
main kahkashaaon mein khushiyaan talaashne niklaa
mire sitaare meraa chaand sab udaas rahe
aaya na phir bhi chaand utar kar zamin par
karte rahe darakht ishaare tamaam raat
hazaaron chaand sitaare chamak gae hote
kabhi nazar jo tiri maail-e-karam hoti
chaand ke husn ki tasvir banaane vaale
mere mahbub kaa chehra nahin dekhaa tu ne
shab bhar shab-e-visaal rahaa chaandni kaa lutf
soyaa lipaT ke vo mah-e-taabaan tamaam raat