Shayari
ek hi rang mein jiine kaa hunar sikhaa hai
ham se har baat pe chehra nahin badlaa jaataa
aaya na phir bhi chaand utar kar zamin par
karte rahe darakht ishaare tamaam raat
آیا نہ پھر بھی چاند اتر کر زمین پر
کرتے رہے درخت اشارے تمام رات
आया न फिर भी चाँद उतर कर ज़मीन पर
करते रहे दरख़्त इशारे तमाम रात

ek hi rang mein jiine kaa hunar sikhaa hai
ham se har baat pe chehra nahin badlaa jaataa
is bhiiD mein duniyaa ki ham tum na bichhaD jaaein
main tum pe nazar rakkhun tum mujh pe nazar rakhnaa
ab ye khvaahish hai karein log hamaari ghibat
phail jaaein tiri galiyon mein khabar ki surat
ab un se paai hai taklif to shikaayat kyaa
hamin ne sar pe chaDhaayaa thaa kuchh kaminon ko
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
zamin uThegi nahin aasmaan jhukegaa nahin
anaa-parast hain donon ke khaandaan bahut
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
ek manzar mein lipTe badan ke sivaa
sard raaton mein kuchh aur dikhtaa nahin
gayaa thaa maangne khushbu main phuul se lekin
phaTe libaas mein vo bhi gadaa lagaa mujh ko
baam-o-dar ki raushni phir kyuun bulaati hai mujhe
main nikal aayaa thaa ghar se ik shab-e-taarik mein