Shayari
miraa dil bhi tilismi hai khazaana
ki is mein khair bhi hai aur shar band
bandhan saa ik bandhaa thaa rag-o-pai se jism mein
marne ke baa'd haath se moti bikhar gae
بندھن سا اک بندھا تھا رگ و پے سے جسم میں
مرنے کے بعد ہاتھ سے موتی بکھر گئے
बंधन सा इक बँधा था रग-ओ-पय से जिस्म में
मरने के ब'अद हाथ से मोती बिखर गए

miraa dil bhi tilismi hai khazaana
ki is mein khair bhi hai aur shar band
charaagh us ne bujhaa bhi diyaa jalaa bhi diyaa
ye meri qabr pe manzar nayaa dikhaa bhi diyaa
zor se saans jo letaa huun to akasr shab-e-gham
dil ki aavaaz ajab dard bhari aati hai
kabhi dar par kabhi hai raste mein
nahin thakti hai intizaar se aankh
vo apne matlab ki kah rahe hain zabaan par go hai baat meri
hai chit bhi un ki hai paT bhi un ki hai jiit un ki hai maat meri
ye un kaa khel to dekho ki ek kaaghaz par
likhaa bhi naam miraa aur phir miTaa bhi diyaa
kisi ke ek ishaare mein kis ko kyaa na milaa
bashar ko ziist mili maut ko bahaana milaa
maut bar-haq hai ek din lekin
niind raaton ko khuub aati hai
jaan nazr ki to donon jahaan mil gae hamein
tai marg o zindagi kaa har ik marhala huaa
kuchh duur aao maut ke hamraah bhi chalein
mumkin hai raaste mein kahin zindagi mile
mire is avvalin ashk-e-mohabbat par nazar kar
ye moti siip mein phir umr-bhar aataa nahin hai
bol kis moD pe huun kashmakash-e-marg-o-hayaat
aise aalam mein kahaan chhoD diyaa hai mujh ko