Shayari
charaagh us ne bujhaa bhi diyaa jalaa bhi diyaa
ye meri qabr pe manzar nayaa dikhaa bhi diyaa
miraa dil bhi tilismi hai khazaana
ki is mein khair bhi hai aur shar band
مرا دل بھی طلسمی ہے خزانہ
کہ اس میں خیر بھی ہے اور شر بند
मिरा दिल भी तिलिस्मी है ख़ज़ाना
कि इस में ख़ैर भी है और शर बंद

charaagh us ne bujhaa bhi diyaa jalaa bhi diyaa
ye meri qabr pe manzar nayaa dikhaa bhi diyaa
bandhan saa ik bandhaa thaa rag-o-pai se jism mein
marne ke baa'd haath se moti bikhar gae
zor se saans jo letaa huun to akasr shab-e-gham
dil ki aavaaz ajab dard bhari aati hai
kabhi dar par kabhi hai raste mein
nahin thakti hai intizaar se aankh
vo apne matlab ki kah rahe hain zabaan par go hai baat meri
hai chit bhi un ki hai paT bhi un ki hai jiit un ki hai maat meri
ye un kaa khel to dekho ki ek kaaghaz par
likhaa bhi naam miraa aur phir miTaa bhi diyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil lagaa lete hain ahl-e-dil vatan koi bhi ho
phuul ko khilne se matlab hai chaman koi bhi ho
aah vo dil ki jise dard ki lazzat na mili
haae vo dard ki jis kaa huaa armaan mujh ko
hazaaron dil masal kar pair se jhunjhlaa ke yuun bole
lo pahchaano tumhaaraa in dilon mein kaun saa dil hai