Shayari
is e'tiraaf se ras ghul rahaa hai kaanon mein
vo e'tiraaf jo us ne abhi kiyaa bhi nahin
mire is avvalin ashk-e-mohabbat par nazar kar
ye moti siip mein phir umr-bhar aataa nahin hai
مرے اس اولیں اشک محبت پر نظر کر
یہ موتی سیپ میں پھر عمر بھر آتا نہیں ہے
मिरे इस अव्वलीं अश्क-ए-मोहब्बत पर नज़र कर
ये मोती सीप में फिर उम्र-भर आता नहीं है

is e'tiraaf se ras ghul rahaa hai kaanon mein
vo e'tiraaf jo us ne abhi kiyaa bhi nahin
bas dariche se lage baiThe rahe ahl-e-safar
sabza jaltaa rahaa aur yaad-e-vatan aati rahi
maut ki ek alaamat hai agar dekhaa jaae
ruuh kaa chaar anaasir pe savaari karnaa
jo tamaam umr rahaa sabab ki talaash mein
vo tiri nigaah mein be-sabab nahin aa sakaa
ham teri tabiat ko 'khurshid' nahin samjhe
patthar nazar aataa thaa royaa to bahut royaa
jo shakhs na royaa thaa tapti hui raahon mein
divaar ke saae mein baiThaa to bahut royaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
gham-e-hasti bhalaa kab mo'tabar ho
mohabbat mein na jab tak aankh tar ho
ji chaahegaa jis ko use chaahaa na kareinge
ham ishq o havas ko kabhi yakjaa na kareinge
ishq ki duniyaa mein kyaa kyaa ham ko saughaatein milin
suuni subhein roti shaamein jaagti raatein milin
muddat se mohabbat ke safar mein huun 'karaamat'
lekin abhi chaahat ke nagar tak nahin pahunchaa