Shayari
dil aayaa hai qayaamat hai miraa dil
uThe taazim de joban kisi kaa
ye taasir mohabbat hai ki Tapkaa
hamaaraa khuun tumhaari guftugu se
یہ تاثیر محبت ہے کہ ٹپکا
ہمارا خوں تمہاری گفتگو سے
ये तासीर मोहब्बत है कि टपका
हमारा ख़ूँ तुम्हारी गुफ़्तुगू से

dil aayaa hai qayaamat hai miraa dil
uThe taazim de joban kisi kaa
yaad mein khvaab mein tasavvur mein
aa ki aane ke hain hazaar tariq
kabhi hansaayaa kabhi rulaayaa kabhi rulaayaa kabhi hansaayaa
jhijak jhijak kar simaT simaT kar lipaT lipaT kar dabaa dabaa kar
nahin ye aadmi kaa kaam vaaiz
hamaare but taraashe hain khudaa ne
lahu Tapkaa kisi ki aarzu se
hamaari aarzu Tapki lahu se
shaikh ke maathe pe miTTi barhaman ke bar mein but
aadmi dair-o-haram se khaak patthar le chalaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
husn un kaa agar hai sangin-dil
ishq apnaa bhi sakht baazu hai
ham bandagaan-e-ishq kaa maslak niraalaa hai
kaafir ki is mein vaza na din-daar ki tarah
dayaar-e-ishq mein ye masala hai muftaa-bih
ba-juz haraam ki raghbat ke kuchh halaal nahin
mere jiine kaa ye uslub pata detaa hai
ki abhi ishq mein kuchh kaam hain karne vaale