Shayari
aatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
K
Kishan Kumaar Waqaarham bandagaan-e-ishq kaa maslak niraalaa hai
kaafir ki is mein vaza na din-daar ki tarah
ہم بندگان عشق کا مسلک نرالا ہے
کافر کی اس میں وضع نہ دیں دار کی طرح
हम बंदगान-ए-इश्क़ का मस्लक निराला है
काफ़िर की इस में वज़्अ न दीं-दार की तरह
aatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
ukhDi baaton se us ki saabit hai
kuchh na kuchh aaj ghair jaD ke uThaa
tumhaare ishq-e-abru mein hilaal-e-id ki surat
hazaaron ungliyaan uTThin jidhar se ho ke ham nikle
ashk-e-hasrat hai aaj tufaan-khez
kashti-e-chashm ki tabaahi hai
chhuptaa nahin hai dil mein kabhi raaz ishq kaa
ye aag vo hai jis ko nahin taab sang mein
haath pistaan pe ghair kaa pahunchaa
aap bhi ab hue anaar-farosh
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tujh se kuchh aur ta'alluq bhi zaruri hai miraa
ye mohabbat to kisi vaqt bhi mar sakti hai
main ye chaahtaa huun ki umr-bhar rahe tishnagi mire ishq mein
koi justuju rahe darmiyaan tire saath bhi tire baa'd bhi
suraagh-e-mehr-o-mohabbat kaa DhunDiyo na kahin
ki un ki raakh havaa mein bikher aayaa main
pyaar se sarshaar karnaa pyaar se chhunaa mujhe
chaak-dil insaan Thahraa TuuTe pyaale ki tarah