Shayari
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
ab aap koi kaam sikhaa dijiye ham ko
maalum huaa ishq ke qaabil to nahin ham
اب آپ کوئی کام سکھا دیجئے ہم کو
معلوم ہوا عشق کے قابل تو نہیں ہم
अब आप कोई काम सिखा दीजिए हम को
मालूम हुआ इश्क़ के क़ाबिल तो नहीं हम

vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
huron se na hogi ye mudaaraat kisi ki
yaad aaegi jannat mein mulaaqaat kisi ki
raqibon ke liye achchhaa Thikaanaa ho gayaa paidaa
khudaa aabaad rakhe main to kahtaa huun jahannam ko
mohabbat aur majnun ham to saudaa is ko kahte hain
fidaa lailaa pe thaa aankhon kaa andhaa is ko kahte hain
bole vo muskuraa ke bahut iltijaa ke baad
ji to ye chaahtaa hai tiri maan jaaiye
paDhe jaao 'bekhud' ghazal par ghazal
vo but ban gae hain sune jaaeinge
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aaghaaz-e-mohabbat mein 'aajiz' rukti na thi mauj-e-ashk-e-ravaan
anjaam ab in khushk aankhon se ik ashk nikalnaa mushkil hai