Shayari
hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
baDaa maza ho jo mahshar mein ham karein shikva
vo minnaton se kahein chup raho khudaa ke liye
بڑا مزہ ہو جو محشر میں ہم کریں شکوہ
وہ منتوں سے کہیں چپ رہو خدا کے لیے
बड़ा मज़ा हो जो महशर में हम करें शिकवा
वो मिन्नतों से कहें चुप रहो ख़ुदा के लिए

hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
dil hi to hai na aae kyuun dam hi to hai na jaae kyuun
ham ko khudaa jo sabr de tujh saa hasin banaae kyuun
baad muddat ke ye ai 'daagh' samajh mein aayaa
vahi daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa
na ronaa hai tariqe kaa na hansnaa hai saliqe kaa
pareshaani mein koi kaam ji se ho nahin saktaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
jhuTi phir kis ki qasam khaaiyegaa
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khaamosh aankhein udaas chehra ye bikhri zulfein bujhaa bujhaa man
ki ziist jaise hui hai beva utaar Daale tamaam gahne
izhaar-e-muddaaa kaa iraada thaa aaj kuchh
tevar tumhaare dekh ke khaamosh ho gayaa
sukut-e-shab mein dar-e-dil pe ek dastak thi
bikhar gai tiri yaadon ki kahkashaan mujh se
koi kashti kahin maghrur ho jaae na paani mein
sukut-e-bahr ko qasdan talaatum honaa paDtaa hai
khudaa ki khamoshi mein shaayad ho us kaa vajud
zamaana huaa naam apnaa pukaare hue