Shayari
hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
mujh ko mazaa hai chheD kaa dil maantaa nahin
gaali sune baghair sitam-gar kahe baghair
مجھ کو مزا ہے چھیڑ کا دل مانتا نہیں
گالی سنے بغیر ستمگر کہے بغیر
मुझ को मज़ा है छेड़ का दिल मानता नहीं
गाली सुने बग़ैर सितम-गर कहे बग़ैर

hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
dil hi to hai na aae kyuun dam hi to hai na jaae kyuun
ham ko khudaa jo sabr de tujh saa hasin banaae kyuun
baad muddat ke ye ai 'daagh' samajh mein aayaa
vahi daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa
na ronaa hai tariqe kaa na hansnaa hai saliqe kaa
pareshaani mein koi kaam ji se ho nahin saktaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
jhuTi phir kis ki qasam khaaiyegaa
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
rakh liyaa baar-e-amaanat sar pe be-khaufi ke saath
aur kyaa kartaa miraa divaana dil tere liye
kabhi un ko milti nahin koi manzil
badalte hain jo har qadam par iraade
nahin hai jis mein teraa ishq vo dil hai tabaahi mein
vo kashti Duub jaaegi na jis mein naa-khudaa hogaa
dil hai shauq-e-vasl mein muztar nazar mushtaaq-e-did
jo hai mashghul apni apni sai-e-laa-haasil mein hai