Shayari
un ke liye uThaain tabassum ki zahmatein
lenaa paDaa khushi kaa sahaaraa kabhi kabhi
R
Raqim Lakhnavikabhi un ko milti nahin koi manzil
badalte hain jo har qadam par iraade
کبھی ان کو ملتی نہیں کوئی منزل
بدلتے ہیں جو ہر قدم پر ارادے
कभी उन को मिलती नहीं कोई मंज़िल
बदलते हैं जो हर क़दम पर इरादे
un ke liye uThaain tabassum ki zahmatein
lenaa paDaa khushi kaa sahaaraa kabhi kabhi
sarf-e-sujud kar ke jabin-e-nazar ko main
mearaaj de rahaa huun tire sang-e-dar ko main
dam bhar agar nasib ho fursat to ponchh lo
peshaaniyon pe gard-e-safar hai musaafiro
ai chashm-e-iltifaat ke maare hue sambhal
ye husn-e-ittifaaq hai husn-e-nazar nahin
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi