Shayari
buton ke dil mein hamaari kuchh ab hui hai jagah
khudaa ne rahm kiyaa varna mar gae hote
nahin hai jis mein teraa ishq vo dil hai tabaahi mein
vo kashti Duub jaaegi na jis mein naa-khudaa hogaa
نہیں ہے جس میں تیرا عشق وہ دل ہے تباہی میں
وہ کشتی ڈوب جائے گی نہ جس میں نا خدا ہوگا
नहीं है जिस में तेरा इश्क़ वो दिल है तबाही में
वो कश्ती डूब जाएगी न जिस में ना-ख़ुदा होगा

buton ke dil mein hamaari kuchh ab hui hai jagah
khudaa ne rahm kiyaa varna mar gae hote
sabhon ki aa gai piiri jo tum javaan hue
zamin kaa dil huaa miTTi kham aasmaan hue
siye jaate hain kafan aap ke divaanon ke
taar daaman ke hain TukDe hain garebaanon ke
kabhi madfun hue the jis jagah par kushta-e-abru
abhi tak is zamin se saikDon khanjar nikalte hain
zindagi kahte hain kis ko maut kis kaa naam hai
mehrbaani aap ki naa-meharbaani aap ki
gae the hazrat-e-zaahid to zard thaa chehra
sharaab-khaane se nikle to surkh-ru nikle
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
chashm-e-dilbar ne dil-e-zaar ki dildaari ki
aah bimaar ne bimaar ki gham-khvaari ki
ye baazi mohabbat ki baazi hai naadaan
ise jitnaa hai to haare chalaa jaa
mohabbat maani o alfaaz mein laai nahin jaati
ye vo naazuk haqiqat hai jo samjhaai nahin jaati