Shayari
hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
mujh ko milaa ye shikva-e-dushnaam par javaab
aap us se ishq kijiye jis ki zabaan na ho
مجھ کو ملا یہ شکوۂ دشنام پر جواب
آپ اس سے عشق کیجیے جس کی زباں نہ ہو
मुझ को मिला ये शिकवा-ए-दुश्नाम पर जवाब
आप उस से इश्क़ कीजिए जिस की ज़बाँ न हो

hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
dil hi to hai na aae kyuun dam hi to hai na jaae kyuun
ham ko khudaa jo sabr de tujh saa hasin banaae kyuun
baad muddat ke ye ai 'daagh' samajh mein aayaa
vahi daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa
na ronaa hai tariqe kaa na hansnaa hai saliqe kaa
pareshaani mein koi kaam ji se ho nahin saktaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
jhuTi phir kis ki qasam khaaiyegaa
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq vo chaar su safar hai jahaan
koi bhi raasta nahin ruktaa
uruuj par hai azizo fasaad kaa suraj
jabhi to sukhti jaati hain pyaar ki jhilein
dard-e-dil se ishq ke be-pardagi hoti nahin
ik chamak uThti hai lekin raushni hoti nahin
'ishq ki chaadar laayaa huun aur khaas baat ye hai is mein
jitne pair pasaaro ye utni lambi ho jaati hai