Shayari
rudaad-e-shab-e-gham yuun Dartaa huun sunaane se
mahfil mein kahin un ki surat na utar jaae
zarre zarre mein mahak pyaar ki Daali jaae
bu taassub ki har ik dil se nikaali jaae
ذرے ذرے میں مہک پیار کی ڈالی جائے
بو تعصب کی ہر اک دل سے نکالی جائے
ज़र्रे ज़र्रे में महक प्यार की डाली जाए
बू तअस्सुब की हर इक दिल से निकाली जाए

rudaad-e-shab-e-gham yuun Dartaa huun sunaane se
mahfil mein kahin un ki surat na utar jaae
muskuraa kar un kaa milnaa aur bichhaDnaa ruuTh kar
bas yahi do lafz ik din daastaan ho jaaeinge
gar tarannum par hi 'daanish' munhasir hai shaairi
phir to duniyaa bhar ke shaair naghma-khvaan ho jaaeinge
aakhiri vaqt talak saath andheron ne diyaa
raas aate nahin duniyaa ke ujaale mujh ko
tere firaaq ne ki zindagi ataa mujh ko
teraa visaal jo miltaa to mar gayaa hotaa
ho ke majbur ye bachchon ko sabaq denaa hai
ab qalam chhoD ke talvaar uThaa li jaae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nigaah-e-ishq dil-e-zinda ki talaash mein hai
shikaar-e-murda sazaa-vaar-e-shaahbaaz nahin
tumhein ham se mohabbat hai hamein tum se mohabbat hai
anaa kaa daaera phir bhi hamaare darmiyaan kyon hai
bahut dinon mein mohabbat ko ye huaa maalum
jo tere hijr mein guzri vo raat raat hui
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi