Shayari
aankhon mein base ho tum aankhon mein ayaan ho kar
dil hi mein na rah jaao aankhon se nihaan ho kar
dil ki raahein judaa hain duniyaa se
koi bhi raahbar nahin hotaa
دل کی راہیں جدا ہیں دنیا سے
کوئی بھی راہبر نہیں ہوتا
दिल की राहें जुदा हैं दुनिया से
कोई भी राहबर नहीं होता

aankhon mein base ho tum aankhon mein ayaan ho kar
dil hi mein na rah jaao aankhon se nihaan ho kar
duniyaa ne khuub samjhaa duniyaa ne khuub parkhaa
meri nazar ko dekhaa jab aap ki nazar se
hasti kaa raaz kyaa hai gham-e-hast-o-bud hai
aalam tamaam daam-e-rusum-o-quyud hai
'farhat' tire naghmon ki vo shohrat hai jahaan mein
vallaah tiraa rang-e-sukhan yaad rahegaa
daulat-e-ahd-e-javaani ho gae
chand lamhe jo kahaani ho gae
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa