Shayari
har ek aankh mein aansu har ek lab pe fughaan
ye ek shor-e-qayaamat saa ku-ba-ku kyaa hai
muddaaa izhaar se khultaa nahin hai
ye zabaan-e-be-zabaani aur hai
مدعا اظہار سے کھلتا نہیں ہے
یہ زبان بے زبانی اور ہے
मुद्दआ इज़हार से खुलता नहीं है
ये ज़बान-ए-बे-ज़बानी और है

har ek aankh mein aansu har ek lab pe fughaan
ye ek shor-e-qayaamat saa ku-ba-ku kyaa hai
hamin pe khatm hain jaur-o-sitam zamaane ke
hamaare baad use kis ki aarzu hogi
kitaabon se na daanish ki faraavaani se aayaa hai
saliqa zindagi kaa dil ki naadaani se aayaa hai
ab kisi aur kaa tum zikr na karnaa mujh se
varna ik khvaab jo aankhon mein hai mar jaaegaa
bahut si baatein zabaan se kahi nahin jaatin
savaal kar ke use dekhnaa zaruri hai
'umr-bhar 'ahd-e-ta'alluq ke nigah-daar rahe
apne baare mein koi khvaab na dekhaa ham ne
harf saare bol uTThein jab bhi main likhne lagun
ab koi jazba miraa mahv-e-duaa lagtaa nahin
muddaaa gar hai to ye hai aashiq-e-dil-gir kaa
ashk mein honaa asar kaa aah mein taasir kaa
sunaa kis ne haal meraa ki juun abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-duaa-e-baaraan
ye tamaashaa didani Thahraa magar dekhegaa kaun
ho gae ham raakh to dast-e-duaa raushan huaa
dabaa ke qabr mein sab chal diye duaa na salaam
zaraa si der mein kyaa ho gayaa zamaane ko
hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahin
mere naghmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahin