Shayari
dil o nazar ki baqaa hai faqat mohabbat mein
dil o nazar se koi aur kaam mat lenaa
F
Fawad Ahmadvo jis kaa naam paDaa hai khamosh logon mein
yahaan pe lafzon ke dariyaa bahaa rahaa thaa abhi
وہ جس کا نام پڑا ہے خموش لوگوں میں
یہاں پہ لفظوں کے دریا بہا رہا تھا ابھی
वो जिस का नाम पड़ा है ख़मोश लोगों में
यहाँ पे लफ़्ज़ों के दरिया बहा रहा था अभी
dil o nazar ki baqaa hai faqat mohabbat mein
dil o nazar se koi aur kaam mat lenaa
jo palkon se gir jaae aansu kaa qatra
jo palkon mein rah jaaegaa vo guhar hai
be-kaif kaT rahi thi musalsal ye zindagi
phir khvaab mein vo khvaab saa paikar milaa mujhe
ruThe logon ko manaane mein maza aataa hai
jaan kar aap ko naaraaz kiyaa hai main ne
tum mujhe chhoD ke is tarah nahin jaa sakte
is ta'alluq pe bahut naaz kiyaa hai main ne
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
vo saamne hain magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ki dariyaa saraab jaisaa hai
main hairat o hasrat kaa maaraa khaamosh khaDaa huun saahil par
dariyaa-e-mohabbat kahtaa hai aa kuchh bhi nahin paayaab hain ham
nigaahon ke manaazir be-sabab dhundhle nahin paDte
hamaari aankh mein dariyaa koi Thahraa huaa hogaa
chashm-e-tar ne bahaa ke ju-e-sarishk
mauj-e-dariyaa ko dhaar par maaraa
ik khitta-e-khun mein kahin dariyaa ke kinaare
divaar-e-zamaana se giraa dhyaan phisal kar