Shayari
dil o nazar ki baqaa hai faqat mohabbat mein
dil o nazar se koi aur kaam mat lenaa
F
Fawad Ahmadbe-kaif kaT rahi thi musalsal ye zindagi
phir khvaab mein vo khvaab saa paikar milaa mujhe
بے کیف کٹ رہی تھی مسلسل یہ زندگی
پھر خواب میں وہ خواب سا پیکر ملا مجھے
बे-कैफ़ कट रही थी मुसलसल ये ज़िंदगी
फिर ख़्वाब में वो ख़्वाब सा पैकर मिला मुझे
dil o nazar ki baqaa hai faqat mohabbat mein
dil o nazar se koi aur kaam mat lenaa
jo palkon se gir jaae aansu kaa qatra
jo palkon mein rah jaaegaa vo guhar hai
ruThe logon ko manaane mein maza aataa hai
jaan kar aap ko naaraaz kiyaa hai main ne
tum mujhe chhoD ke is tarah nahin jaa sakte
is ta'alluq pe bahut naaz kiyaa hai main ne
vo jis kaa naam paDaa hai khamosh logon mein
yahaan pe lafzon ke dariyaa bahaa rahaa thaa abhi
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
idhar to tuul diyaa hai umiid ko us ne
udhar hayaat ataa ki hai mukhtasar mujh ko
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain