Shayari
hamaare un ke ta'alluq kaa ab ye aalam hai
ki dosti kaa hai kyaa zikr dushmani bhi nahin
gham-e-dauraan mein kahaan baat gham-e-jaanaan ki
nazm hai apni jagah khuub magar haae ghazal
غم دوراں میں کہاں بات غم جاناں کی
نظم ہے اپنی جگہ خوب مگر ہائے غزل
ग़म-ए-दौराँ में कहाँ बात ग़म-ए-जानाँ की
नज़्म है अपनी जगह ख़ूब मगर हाए ग़ज़ल

hamaare un ke ta'alluq kaa ab ye aalam hai
ki dosti kaa hai kyaa zikr dushmani bhi nahin
hai sakht mushkil mein jaan saaqi pilaae aakhir kidhar se pahle
sabhi ki aankhein ye kah rahi hain idhar se pahle idhar se pahle
ahl-e-hunar ke dil mein dhaDakte hain sab ke dil
saare jahaan kaa dard hamaare jigar mein hai
aankhon kaa to kaam hi hai ronaa
ye girya-e-be-sabab hai pyaare
naqaab un ne rukh se uThaai to lekin
hijaabaat kuchh darmiyaan aur bhi hain
fareb-e-karam ik to un kaa hai is par
sitam meri khush-fahmiyaan aur bhi hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa