Shayari
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
niind aa chali hai anjum-e-shaam-e-abad ko bhi
aankh ahl-e-intizaar ki ab tak lagi nahin
نیند آ چلی ہے انجم شام ابد کو بھی
آنکھ اہل انتظار کی اب تک لگی نہیں
नींद आ चली है अंजुम-ए-शाम-ए-अबद को भी
आँख अहल-ए-इंतिज़ार की अब तक लगी नहीं

na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin
zindagi tu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
bahut dinon mein mohabbat ko ye huaa maalum
jo tere hijr mein guzri vo raat raat hui
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
jo uljhi thi kabhi aadam ke haathon
vo gutthi aaj tak suljhaa rahaa huun
chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
baqaayaa zakhm izaafi diye gae mujh ko
mire liye to tiraa intizaar kaafi thaa
suraj chaDhaa to phir bhi vahi log zad mein the
shab bhar jo intizaar-e-sahar dekhte rahe
fikr-e-maaal thi na gham-e-rozgaar thaa
ham the jahaan mein aur tiraa intizaar thaa