Shayari
mujh ko ye dar-ba-dari tu ne hi bakhshi hai magar
jab chali ghar se to main naam tiraa le ke chali
banjaare hain rishton ki tijaarat nahin karte
ham log dikhaave ki mohabbat nahin karte
بنجارے ہیں رشتوں کی تجارت نہیں کرتے
ہم لوگ دکھاوے کی محبت نہیں کرتے
बंजारे हैं रिश्तों की तिजारत नहीं करते
हम लोग दिखावे की मोहब्बत नहीं करते

mujh ko ye dar-ba-dari tu ne hi bakhshi hai magar
jab chali ghar se to main naam tiraa le ke chali
apne chehre ko badalnaa to bahut mushkil hai
dil bahal jaaegaa aaina badal kar dekho
maanaa ki main hazaar fasilon mein qaid huun
lekin kabhi khulus se mujh ko bulaa ke dekh
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
baad-e-fanaa bhi hai maraz-e-ishq kaa asar
dekho ki rang zard hai mere ghubaar kaa