Shayari
baghair us ke ab aaraam bhi nahin aataa
vo shakhs jis kaa mujhe naam bhi nahin aataa
mohabbat ki gavaahi apne hone ki khabar le jaa
jidhar vo shakhs rahtaa hai mujhe ai dil! udhar le jaa
محبت کی گواہی اپنے ہونے کی خبر لے جا
جدھر وہ شخص رہتا ہے مجھے اے دل! ادھر لے جا
मोहब्बत की गवाही अपने होने की ख़बर ले जा
जिधर वो शख़्स रहता है मुझे ऐ दिल! उधर ले जा

baghair us ke ab aaraam bhi nahin aataa
vo shakhs jis kaa mujhe naam bhi nahin aataa
pyaar gayaa to kaise milte rang se rang aur khvaab se khvaab
ek mukammal ghar ke andar har tasvir adhuri thi
is tarah qaht-e-havaa ki zad mein hai meraa vajud
aandhiyaan pahchaan leti hain ba-aasaani mujhe
saayon ki zad mein aa gaiin saari ghulaam-gardishein
ab to kaniz ke liye raah-e-faraar bhi nahin
aayaa hai ik raah-numaa ke istiqbaal ko ik bachcha
peT hai khaali aankh mein hasrat haathon mein gul-dasta hai
pahle ik shakhs meri zaat banaa
aur phir puuri kaaenaat banaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yuun agar jhagDaa mohabbat kaa chuke to khuub hai
ham ziyaada chaahein vo ai 'mehr' kam chaahaa karein
ik mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'taabish'
kuchh baDe faisle ho jaate hain naadaani mein
apne hamraah jo aate ho idhar se pahle
dasht paDtaa hai miyaan ishq mein ghar se pahle
gham-e-ishq mein kaari davaa na duaa ye hai rog kaThin ye hai dard buraa
ham karte jo apne se ho saktaa kabhi ham se bhi kuchh na kahaa tum ne