Shayari
miraa vajud haqiqat miraa adam dhokaa
fanaa ki shakl mein sar-chashma-e-baqaa huun main
gham-e-dil ab kisi ke bas kaa nahin
kyaa davaa kyaa duaa kare koi
غم دل اب کسی کے بس کا نہیں
کیا دوا کیا دعا کرے کوئی
ग़म-ए-दिल अब किसी के बस का नहीं
क्या दवा क्या दुआ करे कोई

miraa vajud haqiqat miraa adam dhokaa
fanaa ki shakl mein sar-chashma-e-baqaa huun main
uThne ko to uThaa huun mahfil se tiri lekin
ab dil ko ye dhaDkaa hai jaaun to kidhar jaaun
ab vo piiri mein kahaan ahd-e-javaani ki umang
rang maujon kaa badal jaaataa hai saahil ke qarib
ghazab hai ye ehsaas vaarastagi kaa
ki tujh se bhi khud ko bari chaahtaa huun
tum aziiz aur tumhaaraa gham bhi aziiz
kis se kis kaa gilaa kare koi
lutf-e-jafaa isi mein hai yaad-e-jafaa na aae phir
tujh ko sitam kaa vaasta mujh ko miTaa ke bhuul jaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
jaan dene ke sivaa aur bhi tadbir karun
varna ye baat to ham us se sadaa kahte hain
kal laD gayaa ki aur pe aashiq hai tu 'asad'
aayaa hai jab vo yaan to ik ilzaam de gayaa
jab yaad mein taDpein to mohabbat ko baDhaa dein
khud dard-e-mohabbat ki masihaai mohabbat