Shayari
gharibi amiri hai qismat kaa saudaa
milo aadmi ki tarah aadmi se
husn hai kaafir banaane ke liye
ishq hai imaan laane ke liye
حسن ہے کافر بنانے کے لیے
عشق ہے ایمان لانے کے لیے
हुस्न है काफ़िर बनाने के लिए
इश्क़ है ईमान लाने के लिए

gharibi amiri hai qismat kaa saudaa
milo aadmi ki tarah aadmi se
mujhe ai rahnumaa ab chhoD tanhaa
main khud ko aazmaanaa chaahtaa huun
kuchh miri be-qaraariyaan kuchh miri naa-tavaaniyaan
kuchh tiri rahmaton kaa hai haath mire gunaah mein
rah rah ke kaundti hain andhere mein bijliyaan
tum yaad kar rahe ho ki yaad aa rahe ho tum
gulon se nahin shaakh ke dil se puchho
ki ye bad-numaa khaar kitnaa hasin hai
hans hans ke apnaa daaman-e-rangin diyaa mujhe
aur main ne taar taar kiyaa haae kyaa kiyaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko