Shayari
musalmaan kaafiron mein huun musalmaanon mein kaafir huun
ki quraan sar pe but aankhon mein hai zunnaar pahlu mein
mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko
محبت نے مائلؔ کیا ہر کسی کو
کسی پر کسی کو کسی پر کسی کو
मोहब्बत ने 'माइल' किया हर किसी को
किसी पर किसी को किसी पर किसी को

musalmaan kaafiron mein huun musalmaanon mein kaafir huun
ki quraan sar pe but aankhon mein hai zunnaar pahlu mein
jitne achchhe hain main huun un mein buraa
hain bure jitne un mein achchhaa huun
tum ko maalum javaani kaa mazaa hai ki nahin
khvaab hi mein kabhi kuchh kaam huaa hai ki nahin
niind se uTh kar vo kahnaa yaad hai
tum ko kyaa sujhi ye aadhi raat ko
hai hukm-e-aam ishq alaihis-salaam kaa
puujo buton ko bhed kuchh in mein khudaa ke hain
naaz kar naaz tire naaz pe hai naaz mujhe
meri tanhaai hai partav tiri yaktaai kaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ek bosa de ke vo bole maza aayaa nahin
ek bose mein rumuz-e-ishq khul jaaeinge kyaa
rumuz-e-ishq-o-mohabbat se aashnaa huun main
kisi ko gham-zada dekhaa to ro diyaa huun main
nikal gayaa miri aankhon se misl-e-khvaa-o-khayaal
guzar gayaa dil-e-raushan se vo nazar ban kar
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaan is ko dimaagh o dil rahaa hai