Shayari
giregi kal bhi yahi dhuup aur yahi shabnam
is aasmaan se nahin aur kuchh utarne kaa
teri aankhon mein aansu bhi dekhe hain
tere haathon mein dekhaa hai khanjar bhi
تیری آنکھوں میں آنسو بھی دیکھے ہیں
تیرے ہاتھوں میں دیکھا ہے خنجر بھی
तेरी आँखों में आँसू भी देखे हैं
तेरे हाथों में देखा है ख़ंजर भी

giregi kal bhi yahi dhuup aur yahi shabnam
is aasmaan se nahin aur kuchh utarne kaa
reza reza raat bhar jo khauf se hotaa rahaa
din ko saanson par abhi tak bojh us patthar kaa hai
dekhte hain dar-o-divaar harifaana mujhe
itnaa be-bas bhi kahaan hogaa koi ghar mein kabhi
shahr ke aaiin mein ye mad bhi likkhi jaaegi
zinda rahnaa hai to qaatil ki sifaarish chaahiye
agarche us ki har ik baat khurduri hai bahut
mujhe pasand hai Dhang us ke baat karne kaa
ham kisi bahrupiye ko jaan lein mushkil nahin
us ko kyaa pahchaaniye jis kaa koi chehraa na ho
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo tavajjoh de na de lekin sadaa dete raho
apne hone kaa use 'ruhi' pataa dete raho
dil sadaa taDpe hai meraa murgh-e-bismil ki tarah
yaa ki sikhi murgh-e-bismil ne mire dil ki tarah
in mein kyaa farq hai ab is kaa bhi ehsaas nahin
dard aur dil kaa zaraa dekhiye yaksaan honaa