Shayari
jins-e-vafaa kaa dahr mein baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahin rahaa
in mein kyaa farq hai ab is kaa bhi ehsaas nahin
dard aur dil kaa zaraa dekhiye yaksaan honaa
ان میں کیا فرق ہے اب اس کا بھی احساس نہیں
درد اور دل کا ذرا دیکھیے یکساں ہونا
इन में क्या फ़र्क़ है अब इस का भी एहसास नहीं
दर्द और दिल का ज़रा देखिए यकसाँ होना

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
ghamza bhi ho saffaak nigaahein bhi hon khun-rez
talvaar ke baandhe se to qaatil nahin hotaa
gham azizon kaa hasinon ki judaai dekhi
dekhein dikhlaae abhi gardish-e-dauraan kyaa kyaa