Shayari
vo mujhe chhoD ke ik shaam gae the 'naasir'
zindagi apni usi shaam se aage na baDhi
ye dard hai hamdam usi zaalim ki nishaani
de mujh ko davaa aisi ki aaraam na aae
یہ درد ہے ہمدم اسی ظالم کی نشانی
دے مجھ کو دوا ایسی کہ آرام نہ آئے
ये दर्द है हमदम उसी ज़ालिम की निशानी
दे मुझ को दवा ऐसी कि आराम न आए

vo mujhe chhoD ke ik shaam gae the 'naasir'
zindagi apni usi shaam se aage na baDhi
jab se tu ne mujhe divaana banaa rakkhaa hai
sang har shakhs ne haathon mein uThaa rakkhaa hai
pattharo aaj mire sar pe baraste kyuun ho
main ne tum ko bhi kabhi apnaa khudaa rakkhaa hai
ghar mein jo ik charaagh thaa tum ne use bujhaa diyaa
koi kabhi charaagh ham ghar mein na phir jalaa sake
aasaan kis qadar hai samajh lo miraa pata
basti ke baad pahlaa jo viraana aaegaa
aap kyaa aae ki rukhsat sab andhere ho gae
is qadar ghar mein kabhi bhi raushni dekhi na thi
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai